Sunday, July 8, 2012

Bikhre Kwaabhon ko sametkar ek khwaab saja lenge, un rishton ke waaste..

Aaj laashon ki dher hai jaha par,
Kal basta tha hamaara sapna vaha par.
Ab aakir hum jaaye kahaan,
Lut gaya hamara toh saara jahaan.

Pal bhar mein hi zindagi badal gayi,
Suraj ki roshni ke saamne hi hamaari zindagiyon mein andhera chaa gayi.
Aankon ke saamne apne bichad gaye,
Palbar mein hi duniya ujad gaye.
Ab hum kiske sahare jiye,
Buj gaye hai ummeed ke diye.

Logon ne ise dardnaak haadsa kaha,
Kuch ne insaaniyat ke naam par humdardi jataaya.
Bina mehsooz kiye ki humne kya saha,
Ateet ko bhula dene ko bataya.
Lekin kaise bhula de hum un nazaaron ko,
Palbar mein hi jab lehere uta ke le gayi hamaare apno aur yaaron ko.
Jab maut ne apne aagosh mein sabhi ko sulaaya,
Usne hume hi kyun bhulaya.
Zindagi mein bhi hoti hai maut ka saaya,
Jab har koyi lage ajnabi aur paraya.

Phir bhi un rishton ke waaste hume hai jeena,
Jinhone humaare liye ek kar diya tha khoon pasina.
Jin aankhon mein humaari zindagi ke the sapne,
Maana aaj nazar na aaye woh apne.
Unke sapne hamaare dil mein mehfuuz hai,
Jo hamaare liye sabse khaaz hai.

Inke waaste...
Hum maut ke beech zindagi talaash lenge.


Yeh waada hai hamaara un rishton se,
Jho kabhi humse jude the aur hamesha jude rahenge.
Unke sapnon ko karne  saakar hum har muskil se ladenge.

Apne chale jaate waqt, jeene ki aas de gaye.
Rooti zindagi ko manakar hum bhi jeena seekh gaye,
Un rishton ke waaste.......

Well, this was a poem I wrote during the 2004 Tsunami that devastated the coasts of Indonesia, SriLanka, India and Thailand(in the order of the devastation caused). Unsettled millions. But I always wonder is it Nature's way of reminding us how miniscule we are or is it a mother nudging her child and telling him I have created the ashes, now rise from it gracefully my Phoenix. You have all it takes:) Remember it:)

No comments:

Post a Comment