Monday, July 16, 2012

Mein jeeyungi..

Zindagi itni berehem hai kyun?
Aasun aankhon se barastha hai kyun?
Har khushi ke peeche gham hota hai kyun?
Har subah ke baad andhera chaa jata hai kyun?
Hakeekat toh hamesha kadvi hoti hai kyun?
Har muskaan ke bheethar aasun hai kyun?

Is kyun kyun ke jhanjat mein kho gayi hoon main.
Zindagi ke kaante dekh dar gayi hoom main.
Kya main kar paaoongi iska saamna?
Saath na dega mera yeh zamaana.
Duniya hai mujhse anjaan.
Dhoondthi hoon yaha par apni pehchaan.
Sochti hoon kabhi mein hoon nadaan.
Par saamne hai koi toofaan.

Tootne laga mera hosla
Toh kahi se achanak ek awaaz khili
Are tu toh hai baawli.
Zindagi toh hai ek kali
Jo bhagwaan se hume hai mili
Tume har halat mein hai aage badna
Har waqt saphalta ki seedi hai chadna.
Zindagi ko hai phool bankar hai mehekna.
Man ko bhi titli ke jaise hai udna.

Isi liye, mujhe tumhe hum sab ko hai jeena
Manzil kuch bhi ho use hai paana
Duniya mein apna ek pechaan banana.
Mein jeeyungi...
Aur aise ke dukh haar jaayenge!!

No comments:

Post a Comment