Kya hua agar haathon main hain bhoj,
Aankhon mein sapne hai aur apni manzil ki hain hume khoj.
Kismat se hume nahin koi gila,
Ki usne nahin diya hume paisa ya bangla.
Hume toh har baar aise anmol zindagi mile,
Jisme khusiyaan aur gamon ke ho silsiley.
Kya hua agar hum nahin ek ameer baap ke aullaad,
Hamaari zindagi mein toh hai ehsaason ka swaad.
Pyaar aur bharose se hai hamaari duniya abaad.
Ameeron ki daulat ko toh chor hai loot the,
Lekin hamaari daulat ko kaun loote jo hamaare dil mein hai.
Maa ke loriyon ke ghazal mein hai,
Khwaabon se bhare hamaare aane waale kal mein hai.
Zindagi hai hamaare liye,
Aur rab hai hamaare saath.
Hum toh bas yeh ummeed hai karte,
Hamaare kal mein khusiyaan hamaari raah hai johte,
Hume toh bas raat dhalne ka intezaar hai.
Khud pe hume etbaar hai.
With this.. I staerted loving Hindi.Seriously niki :) Way to go ya..The best thing I love about your poems is the indepth feel and morale in them :) !!
ReplyDeleteThank you Vandu:)
ReplyDelete